Happy Karwa Chauth
- jalwaa1
- Oct 11, 2014
- 1 min read
Intezaar mai ab ghadiya bitne lagi hei Laal jodde me har suhagan sajne lagi hei Vrat ke sath sath tap bhi karne lagi hei Mang piya ke naam ka sindur bharne lagi hei Solah shringar kar sajne sawarne lagi hei Mann mei mann ki aas abh dharne lagi hei Maa karwa ki murat abh banne lagi hei Suhagan ki shaam aaj nikharne lagi hei Piya ki lambi umer ki prathna karne lagi hei Bhukh pyas bhul kar gane gunane lagi hei Chand ke intezaar mai shaam dhalne lagi hei Dil ki aarzoo abh kuch aur machalne lagi hei Har taraf pyaar ki khusboo mehakne lagi hei Maa karwa ki katha kano me gunjne lagi hei Happy Karwa Chauth - Ritu Roy (11th Oct 2014)
Comments